EK BAAR LADKI BANKAR DEKHO

Location

India

Ae mere watan ke logo zara samjho hamari pareshani 

ek bar ladki bankar dekho phir samjho hamari bebasi .

ghar se nikalte hi  maa ke mooh par ek hi baat -

sambhal kar jana , ane mein mat karna der raat .

har roz darindgi ki shikar hoti h meri behne ,

bus tum ek bar ladki bankar dekho phir samjho hamari pareshani .

 

Maasik mein jab uske safed kurte par khoon ka dhaba dikhta h 

tum badi badi batein banate ho .

aaj tumhe yeh khoon ka dhabba sata raha hai ,

kal ko balatkar karke use khoon se nahla dete ho .

 Har roz mohhambatti pakad kar chal padte ho 

aur insafi ki guhaar lagate ho .

aur yeh itefaq ki bat hai wahi pe na insafi dekhti hoo .

 

tum abhi ekta ki baat nahi samjhoge kyonki 

tumhe apni aur dost ki behen mein bhi fark dikhta hai .

bas tum ek bar ladki bankar dekho 

tumhare nasib mein insaniyat nahi hevaniyat dikhegi .

 

ladki dekhte hi nazar chali jati hai kapdo par ,

sach kehna tum janwar nahi banjate sadko par .

kher tumhari bhi kya galti aur kaisa gunah ,

jab  aese desh mein adhe balatkari hote hai behguna 

tum ek bar ladki bankar dekho 

phir samjho hamare sath hone wali na insafi .

 

lekin ek bat bolu , tum rehne do mat dalo apne apko ek ladki ki JAGAH 

tum nahi seh paoge itna dukh aur dard , jab pata chalega ki koi nahi karta tumhari

PARVAH .......

 

This poem is about: 
My country

Comments

Additional Resources

Get AI Feedback on your poem

Interested in feedback on your poem? Try our AI Feedback tool.
 

 

If You Need Support

If you ever need help or support, we trust CrisisTextline.org for people dealing with depression. Text HOME to 741741